Chai ki Chuski
By Mansi,
Paani ki ek Goot pyaas zaroor bhujati h
Par chai ki pyali kya taaza ehsaas dilate hain
Chahe Adrak ki ho ya elaichi
Bs ek ghoot subh for taro-taazigi
Papa ko akhbaar padhte samay
Aur dekhte hue sunrise view
Bs maa ki hath ki chai ki pyali to the rescue
Sardi ho ya zukhaam , maa ka anokha ilaaj
Usme kootkr bharti hain voh prem bs peete hi nikalta h – Waah Taaj
Chai ka anokha sa Rishta hain hum insaano se
Diabetes me peena zaroori hain smjho
Kam meethi ho ya bagair meethi
Ek cup chai ke bina bs baj jati hain seeti
Chai voh ehsaas hain jo pakode me bhi jaan dal de
Chahe tapri ki ho ya pahado ki it makes easy all day
Parathe ho saath aur fir biscuit ho goodday
Bs voh ek ghoot hi thakan door de jaise ho Sunday
Aadat bigad gyi hain boss
Ab boss bhi coffee chod mangte hain chai
Apni chai ka mukabala toh koi nhi , yahi hain sachai
Voh kehte h na jab bhi pareshani tumhe sataye
Bs ek pyali maa k hath ki chai hojaye.

